Waqt [TIME]A Poem by Yogita Jaiswalits about timeYe waqt Kisi Ka Nahi na tera na Mera geergit ki Tarah rang badalta ye waqt bas usi Ka hai Jo khud ko waqt ke sath badal de ... Par iss waqt ke sath Jo badal Jaye use ye duniya galat samajhti hai ... Ab mushkil ye hai ki waqt ka Saath de ya duniya ka... Duniya ke Saath hame jeena hai or jeene ke liye ye waqt bhi zaroori hai.. Ab agar waqt ka Saath Doon or badal jaun to log matlabi kahenge.. or agar na badaloo to ye waqt badal jayega... Waqt ke bare Mai BAAT karte karte Mai ye to batana bhul hi Gaya ki Mai koun hoon Mai vo lamha hoon Jo na waqt Ka hai or Nahi Zindagi Ka Mai to bas ek chhota SA lamha hoon Jo sabke Saath rehta hai to kyun na badalte waqt ke badalne or khud ko badalne SE pehle hat lamhe ko jee liya Jaye LAMHA
© 2018 Yogita JaiswalAuthor's Note
Reviews
|
Stats |