Chand Ko Dekh[ in HINDI ]A Poem by Pushkar PrabhatNot in DEVANAGARI script
===Chand Ko Dekh===
Copyright ©pushkar prabhat, 2014 Chand ko dekh ke teri yaad chali aati hai, Chup bhi jau to chandni dhundti peeche chali aati hai. Baadlon ka shukriya jo tujhko do pal dhak diya...... Warna tujhe takte huye har sham beet jaati hai. Hai adhura tu ya fir mai hi adhura hu yahan, Har baar dekh adhe chand ko ye baat nikal aati hai. Yaadon ka to sirf hai bahana luka chipi ke khel ko, Halaat ko badtar bannane to ye amawas chali aati hai. Taare hai chubhte khwaishon ko zindagi ki raat me. Mere sitaaro ko hi jaane kyu gardishein kha jaati hai. Raat ka rehta hai fir bhi intezaar mujhko sada... kyuki raaton me hi to diye jalte hain, umeed jagmagaati hai......!!!! __________________________________________ © 2014 Pushkar Prabhat |
Stats
99 Views
1 Review Added on April 6, 2014 Last Updated on April 6, 2014 AuthorPushkar PrabhatBhagalpur, IndiaAbout22, human male. Passionate about writing. Anyone can send me a read request but the review may take some time. if you have any query regarding your writing or mine, feel free to mail me. War.. more..Writing
|