College ke din(in HINDI)A Poem by Pushkar PrabhatNot in DEVANAGARI script.
====College ke din====
Copyright ©pushkar prabhat,2014 College ko savere niklu to, Sham ko lautne ka kuch pata nhi hota. Kiski kaksha(class) aur kaun le le, Kisi ko ata nhi hota. Humne to break me bhi jheli hai lecturein unki, Jinka khud ki ghanti me ghanta pata nhi hota. Ek attendance ki khatir hi to jhel lete hain sitam, Lecture to kaano ne bhi kabhi suna nhi hota. Sehpathikayein, maaf karna, Larkiyon ka karam hai jo dil ab lag sa gaya hai, Waise to college mai kab ka chor chuka hota. Unke hi jalwe hai jo notes ki suvidha hai, Yu to exam se pehle syllabus ka bhi pata nhi hota. Bhagwaan jaanta hai kis jatan se, Padhe A, samjhe B se hum Z likh kar aate hain. Warna to rahul, kshama chahata hu, Warna to pappu kab ka fail ho gaya hota. Semester ke baad to semester ki lovestories hi yaad rehti hai. Kisne top ki, kiski back aayi ye to use hi hai pata hota. In dino me na rahasya hai na romaanch, backwaas hi hai shayad. Par phati me bhi aaram ka aanand inme hi hai samaya hota. _________________________________ © 2014 Pushkar Prabhat |
Stats
124 Views
Added on March 5, 2014 Last Updated on March 5, 2014 AuthorPushkar PrabhatBhagalpur, IndiaAbout22, human male. Passionate about writing. Anyone can send me a read request but the review may take some time. if you have any query regarding your writing or mine, feel free to mail me. War.. more..Writing
|