Uski ankhon me [in HINDI language]A Poem by Pushkar PrabhatNot in DEVANAGARI script.
====Uski ankhon me====
Copyright ©pushkar prabhat, 2014 Nidar, kabhi idhar to kabhi udhar, Na shak, na hichak Bus bebaak, malang masti me, Lehraati, balkhati, Maine use udte dekha hai. Chamakti, Ajey uski ankhon me maine, Sunhara ek khwab dekha hai. Bholi bhaali, nasamajh, nadaan, Duniyadaari se anjaan. Dil ki sadaa pe, Sehmi kabhi josh me, Bina jhuke, bina ruke, duniya bhar se, Maine use ladte dekha hai. Masoom, Nischal uski ankhon me maine, Pyaar aur bus pyaar dekha hai. Bebas si kabhi, Par zindagi se bhari. Maaf hai use sab, Nakhre, narajgi, gussa.... Girti sambhalti, Mujhse pyaar jatati, Maine use muskuraate dekha hai. Kaththayi, Khoobsurat uski ankhon me maine, Apna aks dekha hai. __________________________ © 2014 Pushkar PrabhatReviews
|
Stats
142 Views
3 Reviews Added on February 26, 2014 Last Updated on February 26, 2014 AuthorPushkar PrabhatBhagalpur, IndiaAbout22, human male. Passionate about writing. Anyone can send me a read request but the review may take some time. if you have any query regarding your writing or mine, feel free to mail me. War.. more..Writing
|