Bidayi

Bidayi

A Poem by Simran Kaur

Ye reet b kuch alag he hai bnayi,
shabdo mei jisey kehte hain bidayi,
bachpan se jis beti ko ek he chij hai sikhayi jaati,
betiyaan toh sadiyon se parayi he hain kehlaati,
maa ko aksar maine kehte suna hai,
beti teri bidayi ko lekar ek sapna buna hai,
meri tarah ek din tujhe b apna aangan chorna hoga,
kisi aur ka hoke ussey hr rishta jorna hoga,
mai pyr se maa ko kehti tujhe chorkr mujhe kahin ni jaana,
tere aur baba ka hamesha sath hai nibhana,
pr maa kyu hum betiyon k naseeb mei ye likha hota hai,
jinkey liye unka he aangan unse paraya hota hai,
ro ro kr bichadti hai khushiyon ka sansaar paaney k liye,
naye rishton ko piroti hai apna ghr basaney k liye,
phir apne parivaar ko he apna sansaar bna leti hai wo,
dheerey dheerey apni he khushiyon ko maar deti hai wo,
aur log kehte hain ki mahaan beti hai wo…….
Mahaan beti hai wo…..
-Simran Kaur

© 2014 Simran Kaur


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

1007 Views
Added on January 5, 2014
Last Updated on January 5, 2014

Author

Simran Kaur
Simran Kaur

Kanpur, Kanpur, India



About
Hello, i m simran kaur, from Kanpur, Uttar Pradesh. For me poetry is the voice of heart. more..