Ek Tarfa-4

Ek Tarfa-4

A Story by Ankahee
"

One Sided love story

"
Ek Tarfa-Part 4

Train chalne wali thi ki tabhi phone baja, unknown number tha, preeti ko laga ki shayad saahil ka hoga, irritation mein phone uthaya aur kaha “Saahil please stop irritating me…Pehle to tumne itna suna diya aur ab phone kare ja rahe ho aakhir problem kya hai tumhari?”


“Achaji to wo khush naseeb ka naam saahil hai”, phone ke uss taraf se aawaz aayi.

“Maddy aap”, preeti ne ashabhari aawaz mein kaha.

“Haan preeti mein, socha ki ek baar tumhari aawaz sun lun, gusse mein acha sound karti ho” halki si hassi ke sath jawab dia.

“Aapka letter mila tha”


“Toh padh lia tumne, ab shayad tumhe ehsaas ho gaya hoga ki yeh janab aapko like karne lage hai… isko please proposal mat samjhna…mujhe laga jo dil mein hai wo keh dun”


“hmm”


“Arey kya hua…samajh nahi aa raha ki kya kahun, tension mat lo ..aaj ke baad phone nahi karunga jab tak tum nahi chahogi.

Mann kare to save kar lena aur jab lage ki mein dost banne layak hun to please zarur call karna, bye”

Preeti ko samajh nahi aa raha tha ki kya soche kaisa feel kare, pehli baar kisi ladke ne aisa kuch jo kaha tha.

Khush ho ya naraz yeh sochte sochte wo sapno ke duniya mein chali gayi.

 

 

Train New Delhi railway station par pahunch gayi thi, preeti saare students ko platform par le aayi.

Sabke parents aaye hue the…preeti ko thank you bolne lage.

Preeti ne sabko see off kia aur jaise hi chalne lagi to peeche se kisi ne uska hath pakad lia.

Mudh ke dekha to aur koi nahi balki Saahil tha.

Usko dekh kar preeti ke chehre par Muskaan chaa gayi, usko vishwaas nahi ho raha tha ki jiss insaan ne pure 15 din usko dard dia aj wahi usko receive karne aya hai.


“Hi Kaisi hai..ek bhi message ka reply nahi kia tune”

Preeti kuch nahi boli, ek dum shaant thi wo....Achanak dhairya ka wo letter uske zehan mein aa gaya aur usko yeh Khushi feeki lagne lagi.


“Arey sorry yar tu hi meri best friend hai, you know what jiss ladki ke liye tujhe apne office mein itna sunaya usne dump kar dia”


“Sachi uss din teri bahut yaad ayi” aur kehte kehte saahil ke aankhon mein aasun aa gaye.

Preeti ne jab saahil ke wo aasun dekhe to usse raha nahi gaya aur uske aasun pochne lagi aur boli “are ladki hai kya jo royega…ja maaf kia”


“Ek baat bata tujhe meri yaad nahi ayi”


“Are itni filmi baatein kyun kar raha hai…chal bata ab kis ladki par dil aa gaya tera”


“Tujh par”


“Acha beta…15 dino mein yeh flirt marna bhi seekh gaya mujhse”


“Seriously tujhe bahut miss kia”


“Haan thhik hai to aa gayi na waapis..ab nahi karega miss aur ab tu mast ladkiyon par focus kar sakta hai”


“coffee par chalein and bola na yar jis par interest hai wo saamne khadi hai”


“oo hello, mumy wait kar rahi hai ghar par and whats the catch…yeh sab kya bakwaas hai…all of sudden tujhe mujh mein itna interest..chal bye..baad mein baat karte hai”

Taxi mein bethe hi preeti ne socha ki jo bhi Saahil ne kaha wo yehi sab to sunna chahti thi fir aa kyun usko yeh sab Mazak lag raha hai…aisa kyun??

Shayad jawab tha wo khat…aur usko likhne wala Dhairya.

Ghar pahunchi to uski best friend uska besabri se intezaar kar rahi thi. “Haye allah..ladki kaise hai bada miss kia tujhe…waise alag si chamak aa gayi hai tumhare chehre par..mazra kya hai zara humein bhi bataiye.”


“Sab batati hun..bahut si baatein hai”


“Aisa kar tayar ho ja, fir chaltein hai kisi coffee shop par..wahin karte hai baatein”

 

“Yahan bethe hai”, noor ne ishaare karte hue kaha.


“Hello mam kaise ho aap”, riya ne peeche se awaaz dekar kaha.


“Oh Hi riya..how are you? How was your journey?”


“Bahar ke ujjale se mann ka andhera nahi chup sakta”dhairya ne shayari andaaz mein kaha.

Preeti ne muskurate hue kaha” Hi kaise hai aap”


“Mein ab thik hun..kal se jo bechaini thi aapki muskurahat se shaant ho gayi”


Thoda nazare churate hue preeti ne kaha” meet my best friend Noor”


“Hi”


“Hi I am sorry I don’t know you strange but still…kyunki aisa ho nahi sakta ki jo preeti ka dost ho aur mein usko nahi jaanti…shayad aapke baare mein hi batane mein itna bechaain thi hamari madam”preeti ne chedte hue preeti ke taraf dekhte hue kaha.

Preeti ne ishaaro mein daante hue kaha” Noor bahut bolne lagi ho tum..jakar please order kar do”


“Sure Madam…lekin shaq shayad ab yakeen mein badal gaya hai mera”


“Riya didi ki help kar do” dhairya ne kaha.


“Ji to ab do pal kam se kam hum akele hai..zyada kuch nahi to bas aapki Nazaro ne thoda bhaut humse aapka hale dil bayan kar dia”


“Ji aisa to kuch nahi hai”


“Chaliye koi baat nahi …kam se kam yeh baat aapne haq se to kahi”


“Chaliye ab ishaaro hi ishaaro mein baatein karna band kijiye…hum sab ki cold coffee aa gayi hai”

Wo shaam preeti ke liye bahut achi ja rahi thi ki achanak se kisi ne uski aakhon par hath rakh dia”


“Aap yahan hai aur mein duniya bhar mein aapko pagalo deewano ki tarah dhund raha hun” Saahil ne kaha.


“Saahil yeh kya Mazak hai” preeti ne uska hath hatate hue kaha.


“Kam se kam dekh to lo ki aur b log bethe hai yahan” preeti ne jhaallate hue kaha.


“Ohh I am sorry…HI I am saahil…inn madam ka kuch khaas se bhi zyada dost” hath badate hue saahil ne kaha.


“Hi I am dhairya..inki student ka brother” Dhairya ne kaha. 

                                                           to be continued..............

© 2018 Ankahee


My Review

Would you like to review this Story?
Login | Register




Reviews

Amazing , i am eagerly waiting for the upcoming parts.

Posted 6 Years Ago



Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

128 Views
1 Review
Rating
Added on November 29, 2018
Last Updated on November 29, 2018
Tags: story, one, sided, love, fiction

Author

Ankahee
Ankahee

Writing
Intezaar Intezaar

A Poem by Ankahee


Ek Tarfa-5 Ek Tarfa-5

A Story by Ankahee