Ek Tarfa-3A Story by AnkaheeOne sided Love storyEk Tarfa-3 “Riya apne bhaiya ko
bula lao ..we have to leave “ “Mam you are looking very
beautiful”, ek student ne kaha. Preeti ne pehli dafa saaree pehni thi…black colour with long
earrings…maano kisi ke liye tayar hui ho. “Gorgeous”, Dhairya
ne kaha. “Riya tumhare bhaiya
har kisi ladki ke sath aise hi flirt karte hai?” “Mam even I am shocked
….bhaiya to bahut shy nature ke hai” “Dekha meine kaha tha
na aapse ki mein genuinely aapki tareef kar raha tha” “Acha ji Maan lia” “Waise if I am not
wrong aapka naam Maddy hai..woh kyun?” “Ji wo mein sher o
shayari bahut karta hun to mere saare friends mujhe pagal samjhte hai aur usi
ke chalte naam rakh dia maddy” “Saare Friends…matlab
mein to aapko dhairya hi bulaun” “Ji Mohtarma..agar aapko
meri dosti kubool ho to aap mujhe pyar se Maddy bula sakti hai” “Ok Maddy done” “Suniye …hamari baat
adhoori reh gayi thi” “Kaun si” “Yehi ki aapko aakhon
mein jo gam chupa hai wo aakhon ka raasta kab le payengi?” Preeti dang reh gayi. Yeh kya beete kuch shaam ke panne
Maddy ne dohara diye the. Ajeeb sa darr cha gaya tha preeti ke mann mein. Haste hue usne baat talte hue kaha “Mazak bhi khoob kar lete hai aap” “Aksar log mjhe aise
hi chup karwate hai…Sach bataiye aap din mein kitni baar aapne inn aasun ko
chalakne se rokti hogi aur muskurahat ka maukhota odd leti hongi” Preeti ko laga jaise kisi ne usko aina dikha diya ho.Wo
ghabra kar party se chali gayi. Room par pahunch kar wo apne aasun paunch hi rahi thi ki
uske room ki bell baji. “Kaun hai?” “Maddy..I am sorry
Preeti..ek baar darwaza kholo” “Sorry kis liye”,
preeti ne darwaza kholte hue kaha. “Achaji to fir odd li Muskaan
unn aasun ko chupane ke liye” “Dhairya I think aap
apni limit cross kar rahe hai” “well I don’t think so” “Bye dhairya” “No preeti I am not going
anywhere…kyun tum kisi se kuch kehti nahi ho” “Mr Dhairya…hume mile
hue mushkil se 1 din hua hai aur aap kis haq se yeh sawaal puch rahe hai?...aur
mujhe nahi lagta ki iske aage mujhe kuch b kehne ki zarurat hai” “I am sorry Preeti bye…lekin
jaate jaate ek baat kehni thi ..izzazat hai to keh dun?” “Boliye” “Shayad ab life mein
ladki dhundunga to bilkul aapke jaise”, yeh keh kar dhairya wahan se chala
gaya. Preeti dang reh gayi ki tabhi phone ki ghanta baji. “Saahil calling…”Preeti ne phone kaat diya aur sone chali gayi. Agle din preeti ne students ko wapis lekar delhi jana tha. Raat bhar usse neend nahi ayi…usse
sirf dhairya ki baat dhyan aa rahi thi. Raat bhar yehi sochti rahi ki dhairya
se nazare kaise milayegi? Riya ke room ke bahar wo wait kar hi rahi thi ki ek student
ne aakar kaha “Mam riya to apne brother
ke sath chali gayi…Aapke liye letter diya tha Dhairya bhaiya ne” “Theek hai ..thank
you..tum sab bas mei beth jao” “Preeti, Mam nahi
bolunga..i don’t want ki jab tum yeh letter padho to tumhe lage ki kisi ka bhai
bol raha hai. Aaj tak
aise kashish kisi ladki ki aankhon mein
nahi dikhi jitni uss raat tumhare aakhon mein thi…kaash mein doob pata uss
geharai mein lekin shayad badnaseebi isse h kehte hai ki tum apna dard bhi mjhse nahi keh payi. Kher jis kisi ke
wajah se uss raat tumhari aakhein nam hui thi milna chahunga uss shaks se…yeh
dekhne ke liye ki kya hai wo khoobi usme jiski wajah se tumne uss raat darwaza
mere liye band kar dia tha. Wahi baat
dohraunga ki kab bhi koi ladki mili tum jaise toh usi ko humsafar banaunga” Hamesha
muskurati rehna Maddy” Muskurahat chaa gayi thi preeti ke hothon par.... ....To be continued. © 2018 Ankahee |
Stats |