Ek Tarfa-2A Story by AnkaheeOne sided Love storyEk Tarfa-2 “haan mummy, le lungi dawai…bahut thak gayi hun, abhi toh pehla din hi
hai…chalo ab mein phone rakhti hun”, preeti ne kaha. “Acha sun, saahil ka
phone aya tha…puch raha tha ki tu kahan hai” “kya…. kya bataya
aapne…ek baar puch to leti batane se pehle…yar” “are lekin tune bataya
kyun nahi usse? Wo keh raha tha ki preeti phone nahi utha rahi hai…. isiliye bata
diya usko tere baare mein” “acha thik hai…ab phone aaye to please kuch mat batana..ok bye” Message Received…. Preeti ki aankh khul gayi, subah ke 5 baje kiska message ho
sakta hai… Saahil ka message tha…. “Hello madam..kahan ho…call
bhi pick nahi kar rahi….aur noor ne bhi kuch nahi bataya….fir aunty se pata
chala ki tu Bangalore hai. Mere bday wale din party
mein bhi nahi ayi…itne message kiye lekin sab delivery fail dikha rahe the…I
hope yeh wala pahunch jaye. Anyways ab yeh dimaag mat
lagana ki itni subah kaise message kia…nahi ayi raat ko neend tere wajah se…kya
karun tension ho rahi thi….tu phone nahi utha rahi thi isiliye…chal please do
reply..bye” Aaj pure 5 din ke baad preeti ke aakhon se aasun chalke.
Pure message mein ek bhi “Sorry” nahi. Aaj bhi usko mein sirf ek timepass lagti hhun, realization
bhi nahi hai usse apni galti ka. Preeti ne sone ki bahut koshish ki lekin 2 ghante tak usko
sirf wo pal yaad aye jo usne saahil ke sath guzaare the. Preet uth tayar hokar boys ke room par unko alert karne gayi
to dekha ek handsome good looking ladke ne darwaza khola. “ohh I am sorry, shayad
galat room par aa gayi mein” “ji suniye…aap sahi
jagah ayi hai….aap shayad preeti madam hai…hena ??” “Ji lekin aap kaun” “Appki student hai na
riya..uska bada bhai..maddy..i mean dhairya” “Ohh I see…but who
allowed you here….this is not allowed…riya to bahut samjhdaar student hai wo
aise galti kaise kar sakti hai” “Are I know this is
not allowed….but even Riya doesn’t know about it..I can explain you…kya hum
lobby mein ja sakte hai?” “Ok” Preeti mann hi mann mein sochne lagi ki itna smart ladka
bahut dino se dikha hi nahi tha aur yeh sochte sochte uske hothon par halki si
mukurahat cha gayi. Tabhi Dhairya ne tokte hue kaha “uff kya smile hai…aur kya
chamak aa gayi aapke chehre par…jaise kisi ne pathar ki murat mein jaan daal di
ho” “Arey aap to bahut
batemeez hai…seedha flirt par utar…nahi ja rahe hum lobby…aap yahin bataiye ki
kyun aye aur kyun rules ke against ja rahe hai?” Aaj tak kisi ne preeti ki aise tareef nahi ki thi toh usse
laga shayad se dhairya ne uska Mazak udaya ho. “shayad aapko apni
tareef pasand nahi lekin mein flirt nahi kar raha tha…jo mujhe laga meine keh
dia” “acha thik hai chaliye
lobby” “waise meri sister to
aapki Fan hai …har waqt preeti mam ki hi baatein karti hai”, dhairya ne chair
offer karte hue kaha. “She is one of my fav
student…but she feels very lonely because of her parents…anyways aap bataiye
ab” “Aaj riya ka bday hai
aur uska play bhi to socha usko surprise de dun” “but hum kisi bhi
family member ko allow nahi karte” “I know lekin mom dad
har waqt business mein busy rehte hai aur isi wajah se wo lonely feel karti
hai…toh socha usko surprise de dun” “Ok lekin aapko dusra
room lena hoga and kal ki wapis jana hoga” “Ok thank you preeti…I mean mam” Play starts… “Riya is looking so
beautiful”, dhairya ne aasun pochte hue kaha. “Arey aap to emotional
nikale…dekhne se lagte nahi”, Preeti ne haste hue kaha. “Aap bhi bahut sunder
lagti hai smile karte hue…lekin subah ki hasi aur iss hasi mein bahut farak hai” “Aapke kehane ka kya
matlab hai”, preeti ne nazare churate hue kaha. Play khatam ho chuka tha… “Bhaiya aap yahan”,
riya ne gale lagte hue kaha. “Happy Birthday bacha…play
was superb” “Happy birthday Riya”,
preeti ne wish karte hue kaha. “Thank you Mam” “You all go and
change, then we will go for celebration”, preeti ne sabhi students ko
instructions dete hue kaha. “Mein bhi chalti hun” “Ji zarur, lekin
hamari baat adhuri reh gayi”, dhairya ne muskurate hue kaha. To
be continued… © 2018 Ankahee |
Stats |