Ek tarfaA Story by AnkaheeStory about one sided loveEk Tarfa…. Wo shaam kuch toh alag tha… hawa ka rukh bhi kuch badla hua
sa tha…wo apne gaano mein mushroof nahi thi…social networking ka bhi mann nahi
kar raha tha uska…kya tha aakhir uss shaam?? Tabhi ek thandi hawa ka jhoka aya aur wo khichi chali gayi uss
orr…abhi abhi ek gaadi aakar ruki thi wahan…uski aakhon mein ek chamak si aa
gayi thi…WO bahut dino ke baad apne official tour ke baad ghar aya tha. Wo uska pehla pyar…ji nahi…pehla nahi…usko to na jaane kitni
baar pyar ka ehsaas ho chuka tha…kabhi kisi ka kuch pasand ata tha aur kabhi
kuch. To Wo uska teesra ya chautha pyar hoga. Toh Mr WO ka naam tha Sahib. Uske
saamne wale flat mein rehta tha, CA khatam karke kisi MNC mein job karta
tha.Toh inn janab ki muskurahat par fida thi, Preeti. 😊 Preeti ne MA in Economics and fir B.Ed karke ek school mein
teacher thi. Jaise hi wo gaadi se utra, uski wahi smile dekh kar Preeti ke
hothon par muskurahat aa gayi thi…par yeh kya wo muskurahat bhujne si lagi jab
usne ek ladki ko bhi dekha uske sath. One sided love mein yeh unkaha sa dard to
kayi baar hota hai aur aadat bhi ho jati…uss raat preeti ko derr se neend ayi. Kal ek naya
savera..naya din aur ek nayi shuruvat. Preeti dekhne mein kuch khaas nahi thi,
lekin ek alag si kashish thi uski aankhon mein aur jab yeh uski muskurahat se
milti thi to alag sa noor chaa jata tha uske chehre par. “Tring tring..”Saahil ka phone tha. Saahil, preeti ka School and college friend tha. Yeh janab,
preeti ke second crush mei aate the, leki kabhi kaha nahi usse, kher ab to
preeti ko khaas interest bhi nahi tha. “kya kar rahi hai aaj?”,
sahil ne sawal kia. “yar ek din milta hai
aur usme bhi subah subah utha dia”, preeti ne jhalllate hue kaha. “Acha na so jaana iss
ke baad, yeh bata CP chalegi, carnival laga hai wahan”, saahil ne
excitement se bataya. “acha thik hai lekin 1
baje se pehle nahi”, preeti ne jawab dia. “thik hai to fir milte
hai 11 baje, aur sun noor ko bhi lete aana”, saahil ne kaha. “Acha ji, to yeh program
mere liye tha ya noor ke liye…le aungi…bye” preeti ne chedte hue kaha aur
phone rakh dia. Noor, preeti ki bachpan ki dost thi aur jitna khoobsurat naam utni hi khoobsurat wo thi. Saahil noor par line maarne se chookta nahi tha aur yeh sab dekh kar preeti ne apna rujhav saahil ke oor se kam kar dia tha. One sided love na jaane kitni baar aise hi mann ke aangan mein dafan ho jata hai. “Hi Madam, good
morning, Jaldi tayar ho ja…CP jana hai”, preeti ek saans mein sab keh gayi. “Arey mohtarma thoda
tham jaya kijiye….aapne to ek saans mein sab keh diya…ho jaungi tayar..milte
hai 10.30 baje…bye” noor ne jawab dekar phone rakh dia. “Saahil..idhar”,
aawaz dete hue preeti ne pukara. “yeh koi time hai aane
ka, pura aadha ghanta late”, saahil ne gusse mein kaha. “Ji humne late kar
dia, preeti ko kuch na kahe”, noor ne baat sambhalte hue kaha. Use malum
tha uski kehte hi saahil shaant ho jaega. “aap..ji…mein to bas
aise hi…waise saalam, bahut hi khoobsurat lag rahi hai aap,kala tika laga
lijiyega”, saahil ne thoda flirt aur thoda sharmaate andaaz mein kaha. Noor hasi aur sharmaate hue boli “ ji salaam, aap bhi humse Mazak karna nahi bhoolte”. “are sach mein…”
saahil ne masumiyat se kaha. “Uff allah…agar aap
dono ka yun line marna band ho gaya ho to mein chalun?” preeti ne chidte
hue kaha. “Are madam, aap hi to
sutradhar ho hamari….”saahil ne manate hue kaha. “When demand increases
and supply decreases, then…”, preeti apne 11std ko padha rahi thi ki tabhi
peon ne aakar kaha “Madamji aapko
principal sahab ne bulaya hai” “Acha abhi ayi….class
please maintain silence”, pretty ne kadak awaz mein kaha aur room ke taraf
chali gayi. “May I come in sir?”,
Preeti ne pucha “ohh preeti, yes
please come in, sit down, I have an offer for you” “Offer??” “yes there is a
competition in bangalore and you have to take students “ “But sir, I have never
been to Bangalore, how will I manage?” “I know preeti, you
can do it” “Ok Sir, I will try” “Great you have to
leave tomorrow evening. It will be 15 days trip” “Ok sir, thank you” Preeti khush bhi thi aur udaas bhi kyunki kal saahil ka bday
tha aur wo uske bday miss kar degi. Dopahar ko ghar jakar preeti Purple
colour ki strips wali shirt ko gift wrap karne lagi,aur socha ki kal school se
seedha Saahil ke office jakar present kar dungi aur wahan se Station. “Hi Saahil, Happy Birthday,
I will be coming to your office in 10 minutes” Preeti ne SMS kia but as
usual network failure ka message aya. “Oho yeh network bhi
na…kher office pahunch kar surprise de dungi”, preeti ne socha aur uske
office ke liye nikal gayi. “Hi I want to meet Mr
Saahil”, preeti ne receptionist se kaha. “Ya sure Mam, please
make an entry” “Aiye madam, sahib abhi
cafeteria gaye hai…unka birthday celebration hai na”, guard ne kaha. “Acha fir mein yahin
wait karti hun aap please usse bula lijiye”., preeti ne gurad ko bola. “Happy Birthday to you…..you
are looking so smart saahil”… “Ohh thanks Priya you
are also looking gorgeous”, saahil ne apni colleague Priya se kaha. “Sirji aapse aapki
dost milne aayi hai”, guard ne unki baat ko kaate hue kaha, “Saahil sir se milne
dost…wo bhi ladki …kya baat guru tum toh chaa gaye”, saahil ke colleague ne
usko chedte hue kaha Priya ke saamne. “Priya sorry bas abhi
aya..tum yahin rehna”, Saahil ne Priya ko bola. Saahil wahan se gusse mein badbdate hue gaya aur socha ki
pakka preeti hi hogi…kya zarurat thi usse aane ki..saara maza kharab kar dia. “Preeti, tum shaam ko
bhi to aa sakti thi, abhi aana zaruri tha kya…sabke saamne embarrass kar dia…and
now people will start teasing me because of you and please tumhare naam se
tease nahi hona. Anyways tum abbhi bhi
yahin ho…bola na shaam ko milte hai jao yahan se”, saahil ne ek sath sab
gussa nikaal dia preeti par. Preeti sir jhukaye sabse nazare churaye wahan se seedha
station chali gayi. Aaj hi to usne apne bangalore trip ke baare mein saahil se
batana tha. Bina aasun bahaye, bina kuch bole wo station pahunchi. Family
aur noor ko bye bolkar, students ko settle karke, window seat ke pass beth
gayi. Neend aane ki koshish mein thi lekin kanno mein gunjte hue
saahil ki aawaz …wo teekhe shabd..lagataar chilla kar yehi zaahir kar rahe the
ki shayad se saahil ke sath yeh mulakat aakhri hogi. Uss raat preeti ko neend nahi ayi, puri raat wo bitaya 5
minute saahil ke sath uske dil dimaag par chaa gaya tha. “chai chai….garam chai”,
chaiwale ne awaaz lagayi. “Mam, tea?”,
students ne pucha “No thank you, puch lo
baki students se, I will pay” Aaj students bhi hairaan the, itni strict teacher aaj itni
gumsum kyun hai. Preeti ke aaknhon ke wo aasun ab tak chalke nahi the balki
laal chavi bann kar uski naino mein sama gaye the. “kyun aasun bahaun”
yehi soch kar wo aaksh tham jaate the. “Mujhe toh malum hi
tha, ki wo aisa hi hai, kisi bhi lakdi ko dukhi nahi dekh sakta lekin mjhe hurt
karne se pehle ek baar bhi nahi sochta” “Shayad hamesha hass
ke taal deti hun isiliye usse kabhi ehsaas hi nahi hua” “har muskurahat mein
gam aashiyana na ho, yeh zaruri to nahi”, bas yehi sochte hue preeti ne faisla
liya “No more Friendship…jisko meri kadar nahi ….uske sath mein kyun rahun?” Itna socha hi tha ki raat bhar ki neend puri karne preeti ne
aakhein band kar li. ….to
be continued. © 2018 Ankahee |
Stats |