SafarA Story by Ankahee Safar.... Aryan ne durr se awaz lagayi "papa....mein yahan hoon". Siddharth daudta hua gaya aur aryan ko gale se laga liya, lekin itne mein hi police ki van ayi aur usko pakad kar le gayi. Siddharth ne bahut maafi maangi lekin uski ek na suni. Pure din siddharth apne aap ko kosta raha ki yeh sab usi ke wajah se hua hai. Raat ko neend bhi nahi ayi...ati bhi kaise uss andhere mein. Puri duniya se alag jab koi insaan andhere mein ek kamre mein bandh ho to kaise kisi ko neend aa sakti hai. 2 din pehle ki hi to baat thi jab siddharth apni revolver ko load kar raha tha aur achanak se aryan ne usko cheen liya yeh samajh kar ki wo koi khilona hai. Siddharth ne kabhi socha bhi nahi hoga ki uski yeh galti yeh anjaam le legi. Monica usko kayi baar bolti thi ki bacha chota hai usko inn sab cheezon ka nahi pata, tum apne kaam ko office mein hi khatam karke aya karo, ghar par mat laya karo. Lekin har insaan ki fidrat hoti hai ki dusron ka kaha kyun maane. Kyun sune baat, aur sun kar wo baat kar lena shayad hamari self respect ko chot pahuncha deti hai. Uss din bhi monica ki baat ko unsuna karke siddharth ne kuch aisa hi kiya tha. Siddharth ne bahut koshish ki aryan se wo gun lene ki lekin jab tak wo le pata tab tak goli revolver se nikal kar siddharth ke humsafar ko aise lagi ki unn teeno ka zindagi ka safar koi aur h mod le chuka tha. Siddharth ki wo ek galti ne Aryan ko juvenile mein, siddharth ko apne hi gam ke andhere mein aur monica ko iss duniya ke safar se durr kar diya tha. "Aksar hum choti choti baaton ko andekha kar dete hai lekin jab yehi baatein zindagi ka safar badal deti hai to insaan maano bikhar sa jata hai"
© 2018 Ankahee |
|