DardA Poem by sapna sagaraaj vriddha aashram me ek aisi mahila se mili jiski kahani suni to laga ki aaj inme jo taakat jo honsla dikh raha hai bs wo hi sachcha saathi hota hai...na rishtey na unka lihaz....pr wo khush thin...
Dard jab dard se haar jaata hai,
jeene ka salika tabhi to aata hai, lakh log boliyaan sunate rahe, vyangya or taane gungunate rahe, dil pe asar chala sa jaata hai, dara jab dard se haar jaata hai........ aankh jo num hamesha rehti thi, shakl bina kahe kuchh na kuchh to kehti thi, dil pe ab kuchh asar nhi karti, baate ab dil me ghar nahi karti, aansu bhi rukhsat hua sa jaata hai, aankho me ab noor nazar aata hai, aag dekar ke kya ehsaan karega koi, doodh ke karz se farishta bhi sihar jaata hai dard jab dard se haar jaata hai , jeene ka salika tabhi to aata hai..........
© 2015 sapna sagarAuthor's Note
Reviews
|
Stats
221 Views
5 Reviews Added on May 25, 2015 Last Updated on May 25, 2015 Authorsapna sagarkanpur, hindu, IndiaAboutSapna kya hai nayan sej per soya hua aankh ka paani....bs aisi hu mai.... more..Writing
|