MUJHE JAANE DOA Poem by sapna sagarkal maine hospital me ek marrti hui maa ki oar asha ki ummeed liye un bde bde bachcho ki aankhe padhne ki koshish ki....beton ka dard to dikh rha tha pr jhurrion bhare chehre pr maa k jo bhaav the!!!
tujhse duur nahi ja sakti ,
tere paas nahi aa sakti, dumm hai ghuta ghuta sa, saanse bhi ab to kamm hai, rokk na mere bachho mujhko, mere paas waqt kamm hai, koi kami nhin hai mujhko, tum sabb mere paas khade ho, khush raho sabb sukhi raho, yahi mere arman bade hai, bahut koshishe sabb ne ki hain, parr ab waqt nhi mere paas, kuch saanse mai ghar me le lu, mann me ek yahi hai aas, tera haath mujhse chhoot raha, mera saath tujhse chhoot raha, ab tujhko chhod rahi hun mai, sabb tujh pr chhod rahi hu mai, chinta matt karna mere bachche, tere saath mai sda rahungi, chhaya me apni rakkhungi, bass ab MUJHE JAANE DE.
© 2015 sapna sagarAuthor's Note
Reviews
|
Stats
211 Views
7 Reviews Added on May 14, 2015 Last Updated on May 14, 2015 Authorsapna sagarkanpur, hindu, IndiaAboutSapna kya hai nayan sej per soya hua aankh ka paani....bs aisi hu mai.... more..Writing
|