kya soachti hun?A Poem by sapna sagarkabhi koi koshish to kare ki kavita ki patra kya soch rhi hogi?
KAASH! TUM YE SOCH PAATE MAI KYA SOACHTI HUN,
AANKHO SE DHUND KA JO PARDA UTHATE, TO SOCH PAATE MAI KYA SOCHTI HUN......., MERA DARD TUM APNI AANKHON ME PAATE , TO YE JANTE KI MAI KYA SOCHTI HUN, KHIDKI SE BAARISH KI BOONDON KO APNE, CHEHRE PR LETE OR MEHSUS KARTE, TO JAAN JAATE MAI KYA SOCHTI HUN...... LOG TO KUCH NA KUCH KEHTE HI REHTE, AAROPON KA ROPAN KARTE HI REHTE, KISI THHEEKARE SE JO MUJHKO BACHATEY, TO YE JAANTE KI MAI KYA SOCHTI HUN,....... KABHI MUJHKO BHI APNE DIL ME BASAATE TO KHUD JAANTE K MAI KYA SOCHTI HUN... MERE SOCHNE KA JO FARK PADTA TUM PR, TO YE POOCHHATE KI MAI KYA SOCHTI HUN............
© 2015 sapna sagarAuthor's Note
Reviews
|
Stats
100 Views
3 Reviews Added on May 1, 2015 Last Updated on May 1, 2015 Authorsapna sagarkanpur, hindu, IndiaAboutSapna kya hai nayan sej per soya hua aankh ka paani....bs aisi hu mai.... more..Writing
|