Koshish karne valo ki haar nhi hotiA Poem by saksham
KOSHISH KARNE VALO KI HAAR NHI HOTI
Hath thakk jate hain kalam beemar nhi hoti, Kismat bhi likhdu tou jordaar nhi hoti, Panne kharch kar rha hu kitab taiyaar nhi hoti, Koshish karne valo ki kabhi haar nhi hoti.... Kachuai k kadmo main raftar nhi hoti, Samundar k beech main Deewar nhi hoti, Zameen main padi mitti bekar nhi hoti, Koshish karne valo ki kabhi haar nhi hoti.... Gaganchumbi hoti hain cheelain zamidar nhi hoti, Zamin par aati hain tou javabdaar nhi hoti, Chidiya kitna bhi nicha uddle sharamsar nhi hoti, Koshish karne valo ki kabhi haar nhi hoti.... Patte zhad jate hain shaakh nhi zhadtin, Insaan jall jata hai raakh nhi jalti, Chal padte hain lakdi lekar magar aankh nhi hoti, Koshish karne valo ki kabhi haar nhi hoti.... Writer : SAKSHAM © 2015 sakshamReviews
|
Stats
138 Views
2 Reviews Added on April 29, 2015 Last Updated on April 29, 2015 Author
|