BANVADO KOI CHASHMA HUMARA

BANVADO KOI CHASHMA HUMARA

A Poem by saksham

BANVADO KOI CHASHMA HUMARA

Itrati ithlati balkhati sharmati jati thin vo nikal,
Hum bhi purane ashiq dekhte hi dil jata tha machal,
Vo door se dekh kar kardia karti thin ishara,
Humare door ki nazar thi kharab,
Usi ne karva rakha tha kabada...
Buss Yahi Manga karta tha logo sey,
Koi tou banvado CHASHMA humara....

Ab door se na kaam chalta tha, vo karti bhi thin ishara tou na pata chalta tha,
Abb jab milegi tabhi bataengai,
Kasam chashme ki door vale lens lagaengai..

Chashme ki chadar ne dhak dala tha pyar humara,
Hota nhi tha deedar yun yovan tumhara,
Karti hain tumhari Sahelian fusfusahat hume dekh kar,
Keh dena banne pada hai chashma humara,
Dekh lenge bahane se unhai bhi fir door sey,
Ek bar bann jane do chashma humara,

Suno aaj aaye hain ban kar k navab saab,
Aaj hoga pakka apka deedar janab,
Tum aaj piche rehna apne gutt mai, aage rakhna apni sahelio ka selaab,
Lo
Jab lagaya door ka chashma humne,
Nazar aaya naya nazara nazar mai,
Vo hume nhi humare saathi ko dekha karti thin,
Humari tou hume aankhen dhokha karti thin,

Sitam hua naya chashma humara,
Isse tou vahi purana sahi tha bechara,
Usse Kam se kam aankho ko tou tari thi,
Vo badsurat ladki lagti fulzadi thi,
Ab na naye chashme ki fikar hai na zhanzhat tumhara,
Banvado koi vahi chashma humara......

Saksham
8909447788

© 2014 saksham


Author's Note

saksham
Navab saab = CHASHMA

My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

200 Views
Added on April 20, 2014
Last Updated on April 20, 2014
Tags: Onestoppoems.blogspot.com

Author

saksham
saksham

agra, uttar pradesh, India



About
a simple hindi poet. more..

Writing