zindagi ki kashmakashA Poem by sadhna
Kahi chhat thi... deewaar-o-dar the kahi
Mila mujhko ghar ka pata der se Diya to bahut zindagi ne mujhe Magar jo diya... wo diya der se Hua na koi kaam mamool se Guzre shab o roz kuchh is tarah Kabhi chaand chamka galat waqt par Kabhi ghar mein sooraj uga der se Ye sab... ittifaaqat ka khel hai Yahi hai judaai yahi mel hai Main mud mud ke dekha kiya door tak Bani wo khaamoshi sada der se Saja din bhi roshan huyi raat bhi Bhare jaam lahraai barsaat bhi Rahe saath kuchh aise haalat bhi Jo hona tha jaldi.... hua der se Bhatakti rahi yun hi har bandagi Mili na kahin se koi roshni Chupa tha kahin bheed mein aadami Hua mujh mein roshan khuda der se...! © 2011 sadhna |
Stats
270 Views
1 Review Added on October 15, 2011 Last Updated on October 15, 2011 |