Bass Is Tirange Ki Pahchan Ko dekhnaA Poem by Rahul Choudhary
Bass Is Tirange Ki Pahchan Ko dekhna....
Kabhi In Pathro Par Chal Ke Dekhna... Kabhi Is Meethi Ki Khushbhu Mahsoosh Karke Dekhna... Hai Har Chaal Me Kitna Pyaar , Kabhi Aajma Ke Dekhna... Bass Is Tirange Ki Pahchan Ko dekhna.... Jo Apne Praano Ki Bali Chadhaii Unke Pariwar Ko Dekhna... Un Sipahiyo Ki Maa Ke Geele Chunari Ke Pallu Ko Dekhna... Unke Ghar Ke Kisi Kone Me Buje Diye Ki Aaas KoDekhna... Unke Aangan Me Gunjate Vande Mataram Ko Shunna... Bass Is Tirange Ki Pahchan Ko dekhna.... Todi Diye Ki Low Kudh Ke Dil Me Bi Jalao... Kisi Ke Aanshuo Ki Kimaat Tum Bi Jano... Aisa Kar Jao Ki Khali Na Jaye Wo Hui Kurbhaniya... Meeti Ke Har Kann Kann me Vande Mataram Sunnai De Jaye... Bass Is Tirange Ki Pahchan Ko dekhna.... Iske Teeno Rango Ki Pahachan Ko Dekhna... Ek Hath Me Geeta Rakhna Duje Hath Aaj Kuran Rakhnna... Majhab Jaati Bhasha Ki Deewar NA Ho Iska Khayal Rakhna... Pyaar Aur Deshbhakti Ki Chunar Aude Aisa Hindusthan Banaye Rakhna... Bass Is Tirange Ki Pahchan Ko dekhna.... Rahul Choudhary © 2016 Rahul Choudhary
|
Stats
89 Views
Added on February 15, 2016 Last Updated on February 15, 2016 Author
|