NAYA SAVERA

NAYA SAVERA

A Poem by PRACHI
"

KHUD KO PEHCHAN LENA HI APNE AAP MEIN SABSE BADI ACHEIVEMENT HAI AUR KABHI KABHI WO EHSAAS KHAALI PAN KARA DETA HAI

"
KHOKAR TUJHE JO PAANE KI THI AASHA 
WO TERE NA MILNE SE BAN GAYI NIRASHA
MAGAR MAINE JAANA KI TU KITANA HANSI THA 
KYUNKI WO TU HI THA JISME MERA AKSH KAHIN THA
JAB NA DHOONDH PAAYA TUJHKO TO NIRASHA NE MUJHE GHERA 
PHIR KISSI KE SAATH NE UJALA BIKHERA
MAIN BADHTA CHALA USS UJALE KI KIRAN KI ORE 
PHIR MERI ZINDAGI MEIN AAYA EK AUR MOR
WO MUJHE MIL GAYA JO KHOYA THA MERA 
MAGAR TAB TAK TU NA RAHA THA WAISA JAISA TU THA MERA
PHIR MAINE JAANA YE TERI KHATA NAHI 
KYUNKI YE TO MERA DIL THA JISNE TUJHSE DISHA MOR LI
USS UJALE NE MUJHE BATAYA KI MAIN KYA HOON
TERI KAMI SE BANA HOON, SAJA HOON
TERE LAAYE HUYE ANDHERO NE THA JO MUJHE GHERA 
AB NA HOGA KABHI WO EHSAAS KYUNKI HAR JAGAH DIKHE MUJHE SAVERA
PHIR BHI RAHUNGA TERA SHUKAR GUZAR HAMESHA 
KYUNKI TUNE MUJHE BATAYA KI MAIN HOON INSAAN KAISA 

© 2015 PRACHI


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Reviews

Yaar Bahut hi kamal ki Poem likhi hai aapne. I wish ki aap aur aise poems lekar aaye

Posted 9 Years Ago



Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

87 Views
1 Review
Rating
Added on June 15, 2015
Last Updated on June 15, 2015

Author

PRACHI
PRACHI

DELHI, NEW DELHI, India



About
I am a student and quit interested in writing poetries more..