Bikhare Rishtey (broken relationship)

Bikhare Rishtey (broken relationship)

A Poem by Neetu Mathew
"

This poem is about broken relationship...poet is asking the reason why the relation got so strained and why there are troubles...and at the end the poet change to save the relationship...

"
kya ho gaya hai ye aaj humein...
kyun hai hum khud se yu khafa...
jane kaha gayi hamari vo wafa...
jiske sahare  mein aur tum se hum bane...
kya ab yahi hai hamare ristey ki hakikat...
kya ab nahi hamein ek dusre ki zaroorat...
ye doorie kaha se aa gayi hamare beech...
kyun bahari akarshan aaj mujhe rahi hai kheech...
kyun dil ki baat zuba pe lane se darte hai...
kya ab hum ek dosre se pyar nahi karte hai...
kyun har pehar hum khud se ladte hai...
kyun jee kar bhi har pal yu hum marte hai...
kese ab kese karein is dard ka anth...
jo ab lagne laga hai ananth...
kya ab muskurana bas hoton pe hoga...
kya ab pyar jatana bhi bas labzon mein hoga...
kaha gaye vo jazbaat...
kya ab hamare beech itne bure hai halat...
aaj tak bas thi mein tujhse naraz...
par kal pehli baar jana ki shayad meine bhi ab chod di hai sari aass...
do pal ke liye hui mujhe nirasha...
par shayad yahi behtar hai ki ab nahi mujhe koi asha...
ab dil mein vo jazbaat nahi hai...
shayad tere mere rishtey ke liye yahi sahi hai...
tere nazdeek ane se jo umang uthte the mere tan mann mein...
teri bahoon mein jo ehsaas jagte the mere kan kan mein...
ab nahi mahsoos hote vo mujhe ye kal meine jana...
karti thi jo prarthana upar vale se ki sab badal jaye par shayad usne mujhe hi badal dala.

© 2017 Neetu Mathew


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

128 Views
Added on May 23, 2017
Last Updated on May 23, 2017

Author

Neetu Mathew
Neetu Mathew

Bhopal, Central India, India



About
I am a Software Engineer and i love writing poems and have also written few songs now trying to write some short stories more..

Writing