Kashti (Boat)A Poem by Neetu MathewThis poem is about life...i have expressed my feelings in my native language "Hindi"
ye kagaz ki kashti ye behta sa pani...
yahi mera jeevan yahi meri kahani... kabhi lehro se ladti kabhi kinare ko tarasti... har mushkil ko sehti par phir bhi muskurati... kabhi hawa se rukh mod leti to kabhi barsat mein tham jati... phir bhi hosla banaye tu behti rehti... kabhi raat ke andheron mein bhi chandni ko dekh kush hoti... to kabhi din ke ujale me tapti dhoop mein pani ka mol samajhti... aaj bhi kinaare ki aass mein beh rahi hai... hai kinara door kahi par mann mein vishwaas aaj bhi jagaye chali hai... ae kashti tu u hi behti ja... is rah mein bane kise kahani yu hi kehti ja... chahe ho manzil kitni bhi door... tu behti reh aur sab ke liye ban ja ek noor... © 2017 Neetu Mathew |
Stats
81 Views
Added on May 23, 2017 Last Updated on May 23, 2017 AuthorNeetu MathewBhopal, Central India, IndiaAboutI am a Software Engineer and i love writing poems and have also written few songs now trying to write some short stories more..Writing
|