GharA Story by Monika Gautamghar se door rahkar hi har cheej ho jaruri nhi..koshish karen ki aap apne parivaar se door na ho
Akkha...akkha....unke khaanse ki awaj...maine jhat se darwaaje ki taraf dekha...haathon me do jhole or chehre par thakaan liye uski najron ne mujhse kaha...bittti ek gilaas paani de to jara...maine jhat se unke haathon ka vo bhaar liya or kitchen me patak ke paani dene ki liye fridge ki or chal padi...bahut aam baat h na, par na jane kyu bachpan aaj 27 baras ki ho jane ke baad bhi mujhe apne papa ki liye ye sab karna bada sukoon deta hai..jab vo koi kaam karte hai us waqt mai ghanto unhe dekhti...ab mai ghar se door hu..yha banaras me...padhai karne ke liye...par mujhe ghar yaad aata hai...mammi ki daat or dulaar...bahan ke sang ladaai or shaitani..or papa ke liye din bhar intjaar karna or jab vo duty se aa jaye to ghanton baatein karna...or fir mammi ka kitchen se chillana..khana vana khana h ya aaj chaupal se hi pet bhar jayega...kyu ghar se door rhna padta hai...mujhe lagta hai maine khud ko kho diya...mujhe lagta hai mujhe pta hi nhi ki mujhe kya krna tha...jo mai kar rhi hu vo sahi h ya nhi...pta nhi...ghar bahut yaad aata hai
© 2018 Monika Gautam |
Stats
35 Views
Added on July 8, 2018 Last Updated on July 8, 2018 AuthorMonika GautamIndiaAbouti am just a normal human being who can feel the things in a different way.... and that i write in my poems. more..Writing
|