Intzaar Qayamat ka..

Intzaar Qayamat ka..

A Story by Lavi
"

intzaar hai kayamat ka ,ki usse pahle nahi dekhna chehra unka

"
intzaar hai kayamat ka ,ki usse pahle nahi dekhna chehra unka, 
Kyuki vo layak nai mere pyaar or didaar ke, 
magar mere man k kuch sawaal puchne hain unse mujhe ..ki...., 

kya unse bhi tum vohi baatein karte ho, 
jo mujhse kiya karte the, 

kya unse bhi ghanto baatein karte ho, 
jo mujhse kiya karte the, 

kya unke saath bhi vohi mahsoos karte ho, 
jo mere saath kiya karte the,

kya unhe bhi apne bachpan ki yaadein bataya karte ho, 
jo mujhse bataya karte the,

kya unki bhi peeth pe apni ungliyon se kuch likha karte ho, 
or vo bhi meri tarah pyaar k aksharo ko pahchana karte hain, 

raatbhar, kya unke bhi phone ka inzaar kiya karte ho 
jaisa mere liye kiya karte the,

kya apne saare raaj unse bhi bataya karte ho
jaisa mujhe bataya karte the,

areee...raaj batane se yaad aya.....

to bataya hai kya unhe "ki ye sab mai pahle bhi anubhav kar chuka hu"
to bataya hai kya unhe "ki pahle bhi beintihaan pyar mai kar chuka hu"

intzaar hai kayamat ka ,ki usse pahle nahi dekhna chehra unka, 
Kyuki vo layak nai mere pyaar or didaar ke, 
magar mere man k kuch sawaal puchne hain unse mujhe ..ki...., 

© 2017 Lavi


My Review

Would you like to review this Story?
Login | Register




Reviews

by writing the second last lines, you just slapped him across the face.. nicely written..

Posted 7 Years Ago


0 of 1 people found this review constructive.

Lavi

7 Years Ago

thanku dear
Abhishek Asthana

7 Years Ago

my pleasure

Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

245 Views
1 Review
Added on May 4, 2017
Last Updated on May 4, 2017

Author

Lavi
Lavi

About
I am indian more..

Writing
Pyari Jindagi Pyari Jindagi

A Poem by Lavi


Beintihan... Beintihan...

A Poem by Lavi