Fir Kyu...A Poem by Kunal UprejaHai aan baan aur shaan beti, usi se hai saara jahaan Fir kyu beto m hi basi hai logo ki jaan... Beti bhaar nahi, hai jeewan ka saar Fir kyu "Bachao mujje" chillati h beti baar baar... Beti hi bin kahe deti hai maa baap ka saath Fir kyu maa baap chor dete hain uske paida hone se pehle uska saath... Zindagi mein bhar deti hai rang beti, aur bnati hai use khaas Fir kyu uski zindagi ko berang kr ke manate hain sb ullaas... Komal mann hai beti ka, avaaz mein hai shehed jaisi mithaas Fir kyu uske iss chanchal jeevan mein hai itni khattaas... Bhagwan deta hai beti unhe jisme hoti hai use paalne ki haisiyat Fir kyu beti ko maar bete se umeed krte hai rahisiyat... Aane vala kal hai beti, uusi par tiki hai dunia puri Fir kyu hai uska hi kal khatre mein aur hai beti pyaar ki bukhi... Beti se hota hai aangan khushhaal, rango se sajati hai Fir kyu beti beto si ho kar bhi bachne ki pukar lagati hai... © 2015 Kunal UprejaReviews
|
Stats
669 Views
2 Reviews Added on December 26, 2015 Last Updated on December 26, 2015 AuthorKunal UprejaSonipat, Haryana, IndiaAboutI am an engineering student and I like to write short stories, poems etc. I want inspiration and motivation from people so that I can write more and become a successful writer. more..Writing
|