Ikraar ki Ibaadat hai...A Poem by Kaushik MitraWo lamha shayad bayaan na kar pau, mila tha jab usse pehli baar. Pehli mulakaat ki kashish hi anoothhi thi, aaj bhi muskaan chhod jati hai.
Yun teekhe naino se aazmaa gai tu mujhe,
Fir ab jhuki kyu wahi jab main niharu tujhe, Pehli mulakaat thi tere dil se mere dil ki, Ye bhi soche yahi kya bhul bhi paega ab tujhe! Fir yun aayi paas ferne apni zulfo ki chhaanw, Tham sa gaya sab is tarah ki hil b na sake paanw, Saahil pe tha khada lekar kuch bheege armaan, Bas zarurat thi teri hi meri zindagi ki naanw! Teri un mehekti zulfo k sath the kaid kuchh boond bhi, Jane tha wo kaisa asar ki paya na aankhe moond bhi, Ghani reshmi si chhaya me chahta tha khona, Waqt to laga behad par liya to aakhir dhoond hi! Parchhai me bhi teri saadgi ko choomta rha, Zulfo me chhipi uss ek boond ko dhundta rha, Jo kbhi tha mere chehre par samaya ek moti sa, Roshni se hi jiski dil tha mera jhoomta rha! Ek raunak si lagi tu us adheer andhere me, Jaane kyu na sambhali tu meri mere me, Jab bhi teri naino me jhanke koi to chahu sirf yahi, Saya sirf mera hi dikhe tere me! Abi to baki hai jatana mujhe mera haq, Dekhte hai aakhir sharmaegi yun kab tak, Kare koshish milkar to bana le aashiyaan, Jo tu kahe haan to bhigi rait se mehel tak! Abi izhaar to kiya nahi par ikraar ki ibaadat hai, Ishq ka to pata nahi par pyaar ki to izaazat hai, Zakhmi to nahi ye dil ab tak aur na hi tu hone degi, Jab ehsaas hoga tujhe ki tu hi meri guroor-e-mohobbat hai! © 2015 Kaushik Mitra |
Stats
630 Views
1 Review Added on January 8, 2013 Last Updated on August 28, 2015 Previous Versions AuthorKaushik MitraNew Delhi, IndiaAboutAn engineering student...lover of clay modelling, drawing, video games, cricket, cosmology, poetry and programming languages! But the languages, enigmatic languages, of poems touched me even deeper.. more..Writing
|