MAAA Poem by NitinIts about all the mothers of the worldKaiyon ne kiya hai Maa ki mamta ka bakhan apne lekho mein, Aaj hum bhi baithe hain lekar kalam apne haatho mein, Maa ki mamta ka bakhaan keh saku, itna bada lekhak toh main nahi, Lekin Koshish bhi na karu itna kamjarf bhi toh main nahi, Maa ke baarein mein kehne ka yeh mauka main kaise gawan dun, Isiliye socha ki Maa ki shakshiyat ko apne shabdo se jata dun, Maa, Iss shabd mein hi mamta ka ek ajeeb sa anubhav hota hai, Apni maa se alag ho jaunga kabhi, yeh soch ke hi mann rota hai, Kaise chod sakta hai koi baccha apni maa ka saath, Jisne Bachpan mein chalna sikhaya tha pakad kar uska haath, Bhookh lagne se pehle hi Maa thali laga diya karti thi, Hum Lakh nakhre bhale hi karte ho, Maa toh fir bhi muskurate huye, Humein apne haatho se khana khila diya karti thi, Chot beshak hamare jism par lagti ho, Par aasun toh Maa ki aankhon se bhi nikalte the, Apne un aasuon ko chupakar bhi Maa, Bade pyaar se hamari chot par malham laga diya karti thi, Hum jab bachpan mein shaitaniyan karte the, Maa, humein daatti bhi thi fatkarti bhi thi, Par jab aasun behte the hamari aankon se, Toh apne aanchal se hamare aasun poch kar, Bade pyaar se humein chup bhi kara diya karti thi, Kya likhu MAA ke liye, shabd kam pad jayenge, Hum duniya mein kahi bhi chale jaye, Lekin Apni Maa ko nahi bhul payenge.......
© 2016 Nitin |
Stats
69 Views
Added on December 9, 2016 Last Updated on December 9, 2016 |