DastaanA Poem by Nitin
Meri zindagi ka yeh falsafa,
Aur isse bayan karne ka yeh andaaz, Dooba hua hun ateet ki gehrayi mein, Lekin kya shabd nibhayenge aaj mera saath, Aaj ateet ki gehrayi mein doobkar, yeh sochne par majboor hum ho gaye hai, Ki tum thi toh zindagi mein, Ek ajab sa sukoon tha, Kabhi Ek lamha dard bhara hota tha, Toh ek lamhe mein bas pyaar hi pyaar tha, Tumhare saath baith kar toh, ghante palo mein gujar jate the, Aur Tumhari tareef karne ke liye , Shabd khud ba khud hotho par chale aate the, Tumhare saath na hone par bhi, Tanhayi mein tumhe yaad kar ke, Doston ki mehfilon mein bhi, Hum yun hi muskura diya karte the, Aaj toh bas yahi soch rahe hai, ki tumhari har ada mein ek sacchai toh thi, Humare pyaar mein bhi gehrayi toh thi, Lekin shayad kismat mein hi kami thi, Ki aaj hum tumse aur tum humse, juda hokar jee rahe hai, Tum toh aaj bhi hamari yaadon mein ho, aur hum, hamara toh wajood hi shayad mit chuka hai…….. © 2016 Nitin |
Stats
126 Views
1 Review Added on December 8, 2016 Last Updated on December 8, 2016 |