ek chehra...A Poem by Abhishek srivastavaNo need to describe..Jo beet gya vo bhul kyu nahi jata, Na jane sab guzar kyu nahi jata. Sab kuch to hai mere pass fir dil pareshan kyu, Jo mil nahi sakta uski chahat hi kyu. Har baar na jane kyu vo chehra samne aa jata hai, Jab bhi bhulna chahta hu use fir koi na koi vahi baat dohra jata hai. Har roz uth kar ye dil bas ek hi bayan deta hai, Na jane kyu ye usi pe jaan deta hai. Hum chale to aye pardesh par aashiyan apna begana rah gya, Bante - bante ek fasana rah gya. Hath to milte musalsal hi rahe, Bas gale se lagana baki rah gya. Jin kanton ki chubhan ne raftar badha di chalne ki, Soch rahe hain un kanton ko pair se nikalna accha hoga kya. Vo barbaad ho jaye..... ho hi jaye meri bala se, Jo usne kiya hai uski saza ka talna accha hoga kya. Mere kuch yaar kahte hai mera har sher behtar hai, Mujhe hai fikra ki ye behtar se or behtar hoga kya ... © 2017 Abhishek srivastava |
Stats
472 Views
Added on May 5, 2017 Last Updated on May 5, 2017 AuthorAbhishek srivastavaLucknow, Lucknow, IndiaAboutI'm Abhishek.... Writer by choice...coz I thnk I can. more..Writing
|