WOH KYA HUI TERI CHAHATEINA Poem by ayan ali darThis poem is dedicated to my friend Waseem qureshi
Woh zoq shoq woh mastiya,
woh aah meri woh tishnagi Har rang mein me dhal Gaya Mere yaar tu kitna badal Gaya Me beh chuka har Aankh se Dil se na kabhi tu beh sakha Na milli wafa teri Aor se Kitna tha me sudhar chuka Teri Raah se kab ka guzar Gaya Mudh ke Ek baar Dekh lo Me Tehar Tehar ke har gaam par Tera naam se, anjaam se Sada ki har Aan se Tu apni Ana na Badal sakha Me Raat Raat bilak uthun Kyn Sath Tu Na De sakha Woh ehwaal kya, kya tha maajira Kyn kabhi na tu mujhse Keh sakha Mera Rom Rom hain Nidhaal Ab Tu Kabhi na Mujhko Samajh Sakha Woh kya hui Teri chahatein Woh Dillagi woh Taergi Woh saare chirag bhuj Gaye Jis pal tu mujhe chor Gayi Me ussi pal me bikhar Gaya Na simat sakha kisi hath se Na behal sakha kisi baat se Na sada koei sunai de Na Justuju Na koei aarizo Teri Deed Ho Ab phir kabhi Me chalta Gaya na tehar sakha Meri Jaan ye kya tu kar Gayi Tu khush-numa sabzaar hain Bichad ke tu to khil uthi Ayan Me Wahi Bikhar ke Marr Gaya © 2014 ayan ali darAuthor's Note
|
Stats
510 Views
Added on May 7, 2014 Last Updated on May 7, 2014 Tags: Breakup, love, hate, bewafa, hurt, hurt broken, lies, sad poetry Authorayan ali darSrinagar, Jammu and Kashmir, IndiaAboutHi I'm Ayan ali dar from Kashmir India, I have been writing poetry since I was in 6th standard At boarding school in Aligarh, From then till now I keep myself busy writing, Hope everybody like my.. more..Writing
|