KI HUMSAFAR ZARORI HAINA Poem by ayan ali darHumein apna ke thukrana kaha ki reet hai dilbar, bhatak jao ge tanha rasto'n mein ki humsafar zarori hai, tumhein baharo se fizao se nazaro se mohabbat hai, yu ulfat k ashakbaaro ki himayat bhi zarori hai, na mai khankaho ka talib,masaratt be'khabr humse, hain roothi zindagi mujhse to manana b zarori hai,, hai aaraish tumse hi rukbat aur adawat bhi, yaha gir gir ke log sambltey hain sahare bhi zarori hai, mujhe azad karna tha,mujhe barbaad karna tha, kiye jo ahed-e-wafa tum ne nibhana bhi zarori hai, mai bhatka aisa rahi hu mujhe raston ne yu sataya hai, pal pal kismat pe apni roya hu ajal-tera aana ab zarori hai,, aqeedat kyn kare koei masroof har fard jo hai, ayan sambhal jao sudhar jao musibat bi zarori hai... © 2014 ayan ali darAuthor's Note
|
Stats
212 Views
Added on May 3, 2014 Last Updated on May 3, 2014 Tags: urdu poetry, shahyri, sad, romantic, good, heart touching, ayan ali dar, srinagar, kashmir Authorayan ali darSrinagar, Jammu and Kashmir, IndiaAboutHi I'm Ayan ali dar from Kashmir India, I have been writing poetry since I was in 6th standard At boarding school in Aligarh, From then till now I keep myself busy writing, Hope everybody like my.. more..Writing
|