Khamoshiyan...A Poem by Arushi AgarwalA poem describes that our silence also says a lot , we only need someone to understand it. My few lines on this thought in "hindi".
Aaj tanha the jab hum...
Jana khamoshiyan bhi keheti nahi kuch kam !!! Kayin roop hai is khamoshi ke... Rakhi hai chupake ye raaz sabke !!! Aasan nai hta khamoshi ko samajhna... Khud hi nai pata hta kaise use alfazon mai hai badalna !!! Khamoshiyon ke peeche hti hain wajah kayin... Hti hai inme dabi baatien ankahin !!! Kabhi dusaron ki khushi ke liye hti hai... Kabhi khudke dhukh ko chupane ke liye hti hai !!! Dil chahe koi toh ho... Khamoshi ko hamari samjhe jo !!! Khamoshi ki hti hai apni ek ada... Aankhon mai chupi hti hai ye sada !!! Aankhon se karti ye bayan sab... Keheti kash koi hume samjhe ab !!! Sabke liye banaya rab ne wo... Khamoshiyon ko samjhe uski jo !!! Milega aisa koi jab... Khamoshi wapas na kabi ayegi tab !!! Aaj tanha the jab hum... Jana khamoshiyan bhi keheti nahi kuch kam !!! :)
© 2016 Arushi AgarwalAuthor's Note
|
StatsAuthorArushi Agarwalbangalore, karnataka, IndiaAboutHi, I just love to convey my thoughts through a sweet simple poem. :) more..Writing
|