Khoobsoorat....A Poem by Arushi AgarwalA poem on inner beauty... :)Khoobsoorat !!! Kya hota hai is shabd ka matlab ?? Socha karti hun mai jab tab !! Na jan payi mai ab tak... Kiska asli mai hai khoobsoorat kehelane ka hak ?? Log bolte hain bahar se napi jati hai ye... Par hume lagta hai insan ke dil ki pehechan hai ye !! Bahar se kayin ache hte hain... Par khoobsoorat wahi jo dil ke sache hte hain !! Saf chehera hi nai hai jaroori... Duniya ne bana diya hai isko sabki majboori !! Lage rehete hain sab bahar se khoobsoorat banne mai... Na jane is chakkar mai rehete hain kitne kharche mai !! Nahi jante ye log dil ko saf karna muft hota hai... Wahi insan phir sabse khoobsoorat hota hai !! Bahar se sundar aur andar se bura koi agar ho... aap hi batao kya usko khoobsoorat kehelane ka hak ho ?? Gujarish hai aaj ye sabse hamari... Dil ko rakho pak tab hi hgi asli pehechan tumhari !! Hume lagta hai Dil se jo hota hai sacha... Sahi mayne mai Wahi lagta hai bahar se acha !! Bahar ki sundarta toh chali jani hai ek din... Nahi rehe payoge kabhi dil ki achai ke bin !! abtak humne bas itna hi jana... Ki khoobsoorat wahi jisne sabko apna mana !! :)
© 2016 Arushi Agarwal |
StatsAuthorArushi Agarwalbangalore, karnataka, IndiaAboutHi, I just love to convey my thoughts through a sweet simple poem. :) more..Writing
|