Patang ek jeevan !!A Poem by Arushi AgarwalDescribing a kite as a form of living life.
Patang!!!! kya kuch sikhati hai ye patang... Socha hai kya kabhi isme hain jeevan ke kayin rang !!!
Bandh dete hain ise hum teekhi dor se... Par ud nai pati ye bina dheel chode hamari aur se !!! Ek bar jo dete hum ise dheel jara bhi.. Ud jati ye aasman mai us shan tabhi !!! Ajadi ka matlab seekhati hai ye...Batati hai bandhan mai na koi khile !!! Dheel ek bar dekho toh deke... Muskra uthegi ye tumhare har gam apne sath leke !!! Dheemi hawa ke sath beh jati hai ye... Toofan aye toh tut ke bikhar jati hai ye !!! Batati hai meethi baatien karti hain dilon ko ek... Gusse se hte hai tukde anek !!! Udti hai uchi tabhi jab dete hain hum iska pura sath... Nahi hatne dete charkhi se apna ye hath !!! Jeevan bhi hta hai kuch aisa... Jo dhyan hata toh reheta hai ek bhatke insan jaisa !!! Toh doston dhyan se pakdo apne jeevan ki dor.. Na jane do kisi galat rah ki or !!! Khula chodo apne aap ko .... Tabhi toh chu payoge us neele aakash ko !!! Patang!!! kya kuch seekhati hai ye patang... Han bohat kuch sikhati hai ye patang!!!! © 2016 Arushi AgarwalAuthor's Note
|
Stats
228 Views
Added on January 14, 2016 Last Updated on February 19, 2016 AuthorArushi Agarwalbangalore, karnataka, IndiaAboutHi, I just love to convey my thoughts through a sweet simple poem. :) more..Writing
|