"Ek Akhri Lafz"

"Ek Akhri Lafz"

A Story by Arman Chulbul
"

har dil ki qaynat me itni si jagah zaroor hoti hai ki wo kuch mahsoos kar sake, kuch ahsaas apne dil me mahfooz kar sake, usi qaynat ka zara ka hissa de dijiye bas..

"
ek ajeeb se ankahe safar pe chal pade the mere kadam, ye kahan ja rahe the iski khabar mujhe khud nahi thi, kahan rukenge na socha hi tha, na ye sochne ki firk hi thi. chalte-chalte meri nazar ek bachhi par padi, jo Bharat Maa Ki god me lot-pot kar khel rahi thi, bas yuheen bekhabri me chalte-chalte meri rooh ko itni rahat milegi maine kabhi socha nahi tha. kya pata tha ki uheen muflisi me musafir bane ek adiyal sakhs ko aise hi koi rahat mil jayegi, jo uske har gam ko bhar sakti hai. wo ladki dhool se lipti usme khelti hui, mere paas aai aur mujhe dekh kar wapas chali gai, mere badhte kadam waheen ruk gaye, jab wo mujhe dekh ke apni meethi khushi khokar chali gai. muflisi hi thi par meri banawati muskan me itni bhi kya kami lagi ki use, ki usne khilkhilana band kar diya. maine us ladki ka picha kiya aur dekha ki raste ke us or wo ladki kuch chand lakdi par tike tammboo wale ghar ke andar chali gai, mai thodi der waheen khada raha aur kuch der baad thodi himmat karke uski or badha. jaise-jaise mai aage badh raha tha, meri sanse ukhad rahi thi, kyuki lagataar us ghar se kuch halchal dikh rahi thi. jaise taise mai thodi aur himmat karke wahan pahoncha to dekha ki wo ladki apne sine se ek tasveer laga kar ro rahi hai, uski zubaan kuch kahna chah rahi hai, par wo kuch bhi kah nahi pa rahi hain, rote sisakte hue wo sirf ek hi lafz kah pa rahi thi "...BB..B....B......BH.....BHA.....BHAI..!!..B...BH..BHAI..!!...BH...BHAI..!!..BHA....BHAI..!!", maine wo tasveer dekhi to mujhe yakin nahi hua, ye uske bhai ki tasveer thi, jo pichle saal meri hi tarah gumsum-gumsum, khoya-khoya ghoom har raston par na jane kya dhoodh raha tha, jo ab uski bahan ka "EK AKHRI LAFZ" ban chuka hai.


-Arman Chulbul

© 2015 Arman Chulbul


Author's Note

Arman Chulbul
"bas ek nazar"
dil par lage to zaroor kuch review dijiye.

My Review

Would you like to review this Story?
Login | Register




Reviews

Iss ko pad Kar pata nhi kyun itna sukoon Mila
...iss mai ek Aisi baat chipi jo shayad hi ek Koi pehchan me

Feeling peaceful...

Posted 9 Years Ago


1 of 1 people found this review constructive.

Arman Chulbul

9 Years Ago

Mujhe khushi hai ki is EK AKHRI LAFZ ko padh kar apko sukoon mila...
Shukriya..!!

Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

204 Views
1 Review
Added on August 17, 2015
Last Updated on August 17, 2015

Author

Arman Chulbul
Arman Chulbul

Mumbai, India



About
Chand Lafzon Me Kaise, Khud Ko Bayan Karoon..!! Ye Waqt Har Waqt Meri, Shakh Badal Deta Hai..!! more..