Ab bhi is dil mein...

Ab bhi is dil mein...

A Poem by Chirag Kumar

AB BHI IS DIL MEIN...

Ab bhi is dil mein jaan bohot hai
Hamari kaliyon mein pehchaan bohot hain.

Husnwaale khatkhataate hain darwaaza dil ka.
Kya kare iske darbaar mein mehmaan bohot hain.

Jhoot ki parton mein unko chupaa letaa hun.
Imaan jo niyat se beimaan bohot hain.

Ye ik nasha hai jo mithaaye nahi mithta.
Hawas ka may bhi dekh haivaan bohot hain.

Ishq ke mandiron mein budh todne aaya tha kabhi.
Dekha toh har taraf shamshaan bohot hain.

Aankhon mein junoon chadh gaya khudkhushi ka.
Khud khushi se marne mein jo shaan bohot hain.

Is khel mein jismon par fatah haasil hai Kumar.
Ye dil magar fir bhi veeraan bohot hain.

- C Kumar

© 2016 Chirag Kumar


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Reviews

It's really good. Long time haven't read a Hindi write up. Great!

Posted 8 Years Ago


1 of 1 people found this review constructive.


Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

234 Views
1 Review
Added on October 27, 2016
Last Updated on October 27, 2016
Tags: hindi, india, shayari, dil

Author

Chirag Kumar
Chirag Kumar

Mumbai, India



Writing
Take Me Take Me

A Poem by Chirag Kumar


Meet Me Meet Me

A Poem by Chirag Kumar