Mere Krishna

Mere Krishna

A Poem by Anmol
"

Naa jaane kitne aate hai, bolte hain aur chale jaate hain, Main kal bhi yahi thaa aur aaj bhi yahi hoon,

"
Naa jaane kitne aate hai, bolte hain aur chale jaate hain,
Main kal bhi yahi thaa aur aaj bhi yahi hoon,
Mujhse baatein karke, apnaa pyaar jataakar,
achaanak hee sab bandhan todd jaate hain…

Aisaa kya hai iss duniyaa mein jo hameshaa mere saath hai,
Shaayad kisi ki yaadein hamesha hai mere paas aur kuchh pyaari see baat hain…
Unhee ke sahaare apne iss jeevan ko jeene ki kartaa hoon main aaas,
Aankhon mein naa jaane kitne samunder hain aur dil mein phir bhi hai pyaas…

Kabhi milan hotaa hai kisi se tau kabhi tanhaa hotaa hai mera ye mann,
Kabhi haste haste nikal jaata hai samey tau kabhi rulaa deta hai mujhe soonaapann..

Jeevan mein ye sab bhi ussi pyaar ke roop hain,
Jiski wajeh se kabhi chhaao hai tau kabhi dhoop hai…
Bus yahi sab sochkar, ek thandi saans bharkar,
Apni himmat aur apna saahas bandhaata hoon…

Jo karte hai mere KRISHNA mere liye,
Usko apni kismat aur unkaa pyaar samajhkar apnaataa hoon

Written by Myrealhope AnmolBol Author

© 2014 Anmol


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

221 Views
Added on August 13, 2014
Last Updated on August 13, 2014
Tags: krishna, trust poem

Author

Anmol
Anmol

India



Writing