karbal nikli hai zainab sa

karbal nikli hai zainab sa

A Poem by Adil Dar

1,Hokar rukhsat madeene sey.....
Nana ke us roshan khazeene sey.......
Sabak yazidiyat ko sikhane nikli hai zainab.....
Karbal nana ka deen bachane nikli hai zainab.....
2, Athara bhaiyu ko lutane deen par.....
Be aab rehne maqtal ki zameen par....
Yadiyat ko mitane nikli hai zainab.......
Karbal nana ka deen bachane nikli hai zainab.....
3, rahi rast pe lane bewafa kufiyu ko.....
Chali deen sikhane badga shaamiyu ko.......
Khutba ALI sa sunaney chali hai zainab........
Karbal nana ka deen bachane nikli hai zainab.....
4, Muslim maara gaya ujad gaya zainab ka sukoon.......
Frr bi roshan zameer hai zainab mai Ali ka khoon.....
Aon o mohmad ko bhi ab lutaney chali hai zainab.......
Karbal nana ka deen bachane nikli hai zainab.....
5,Roshan jo chirag thai sab ghaj gaye.......
Raait par payase jism muraj gaye.....
Ab kandhe peh hussainyat ko uthane nikli zainab......
Karbal nana ka deen bachane nikli hai zainab.....
6, atharah bhaiyu par jisko naaz tha......
Deeder uska roshni ka bhi raaz tha.....
Whi chadar dekar islam bachane chali hai zainab....
Karbal nana ka deen bachane nikli hai zainab.....
Hoslaie zainab ka harf e sakhn yu ADIL hai........
Musibatu ki maa bani bhar sach mai Ali ka dil hai......
Baqi raha na kuch firr bhi hussain sunane chali hai zainab...........
Karbal nana ka deen bachane nikli hai zainab.....

© 2016 Adil Dar


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

277 Views
Added on September 21, 2016
Last Updated on September 21, 2016

Author

Adil Dar
Adil Dar

srinagar, jammu and kashmir, India



About
Born to write a simple guy widh straightforward attitude...... more..

Writing