HAQ E ZEHRA sa

HAQ E ZEHRA sa

A Poem by Adil Dar

Muslmaan se mujhe kafir bana gaya haq e zehra......
Be rah mai tha rah dikha gaya haq e zehra......
Ali ki badshahi se aagha kara gaya haq e zehra.......
Be rah tha mai rah dikha gaya haq e zehra.......
Iemaan tum hi rakh lo hum kafir hi sahi......
Nikhkhwaan e nabi ke hum fakhir hi sahi......
Kafir abu talib sa bana gaya haq e zehra.......
Be rah tha mai rah dikha gaya haq e zehra.......
Hasd e MURTAZA mai unka ghar jalla.......
Mohsin ke shahadat ka kuch yu milla silla.......
Haq o batil ke pehchaan kara gaya haq e zehra.....
Be rah mai tha rah dikha gaya haq e zehra....
Darbaar e khilfat mai un ka woh ehwall.......
Baba ka haq humien do yu deti rahi sawal.......
Qissa fadaq ka woh rula gaya haq e zehra........
Be rah mai tha rah dikha gaya haq e zehra......
Dakhil madine mai hona darr e najaf sey......
Yu shher mai gusna nabi ke hadaf se........
Qadar bab e elim ki sikha gaya haq e zehra......
Be rah tha mai rah dikha gaya haq e zehra.......
Dakhil jo panjtan chadar mai hogaye........
Vrde lab jabreel nazil yeh hogaye.......
Tatheer ka nazool kara gaya haq e zehra.......
Be rah mai tha rah dikha gaya haq e zehra......
Ism e panjtan labe aadam par sunnna........
Ek dam hi farishtu ka sajde mai girrna.......
Kamil aadam ko kara gaya haq e zehra........
Be rah mai tha rah dikha gaya haq e zehra......
Asheer se khani hum sunatey tey hai sunno..........
Bunyaad ghadeer ki hum bata tey hai sunno.......
Mana aliun walullah ka samjha gaya haq e zehra.....
Be rah mai tha rah dikha gaya haq e zehra......
Khayber o khandaq tab bafata hove.......
Dakhil maidaan mai jab lafataa hove.......
Faraar sahaba ka bata gaya haq e zehra........
Be rah mai tha rah dikha gaya haq e zehra......
Alm khyber mai jab qaraar ko milla......
Dilshikan dillu mai yeh basa raha gilla........
Nishan alm hamara bana gaya haq e zehra.......
Be rah mai tha rah dikha gaya haq e zehra......
Maysoos nae ho adil ali waris hai teri nishani........
Daman fahlake teri shifat hai humien karani..........
Khoof pull e sirat ka mita gaya haq e zehra......
Be rah mai tha rah dikha gaya haq e zehra......

© 2015 Adil Dar


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

230 Views
Added on September 6, 2015
Last Updated on September 6, 2015

Author

Adil Dar
Adil Dar

srinagar, jammu and kashmir, India



About
Born to write a simple guy widh straightforward attitude...... more..

Writing