HAMARA RAHSAAZ ABI BAQI HAI

HAMARA RAHSAAZ ABI BAQI HAI

A Poem by Adil Dar

Tum na jao abi chood ke ki raat abhi baqi hai.........
Muntakhib hai hum dair sey bhar baat abi baqi hai..........
Kafir kafir tum kehtey raho hum yeh kehtey rahe gey yahi sada......
Kafir ke ghar sey hi MOHMMAD ki nabuat ka riyaas abi baqi hai.........
Asheer mai hi jo kar liya mustafa sey wade wafa..........
Us wade ko palne ka Har ALI mai andaaz abi baqi hai..........
Khilafat ko sambhal liye janaza NABI ka chood diya.........
Un khalifu ko uchalne wale ALI ke humnawwaz abhi baqi hai.............
Ghar jalya kabi ZEHRA ka,kabie baba ka haq na diya.......
Unhi Khalfu ka tawareekh mai woh qisse sharamsaaz abi baqi hai.......
Nare taqbeer lagga kar muslmaan kartey rahe zulmo jafa.....
Nar haidari se jo deen bachha uska ejaaz abhi baqi hai..........
Wafa ki kahni bohat sunni tumhara g bhar gaya.......
Wafa khud jissey peh karti hai naaz Woh Raaz Abbas abhi baqi hai...........
Muskura key chala gaya woh baba ki goud mai........
Bhar zehnu mai Ab bhi ASGHAR Ki woh pyaas abhi baqi hai..........
Badan pamaal kardiya laineeu ne maqtal mai........
QASIM ki dulhan ka woh faada libaas abi baqi hai.........
Naiza kha key seene mai woh chala gaya maqtal mai............
AKBAR ki us nabi si soorat ka zehan mai aqaas abi baqi hai......
Sajda jo atta hova teeru aur naizu par.......
Woh sajda sada jari rahe Hussain ki aas abi baqi hai.........
Shmir tou hogaya kab ka wasil e jahanum.......
Yaad sakeena ke uss senne khaas ki abi baqi hai........
Jalale Ali aaya nazar jis mai koofiyu aur shaamiyu ko.............
Zainab ke un khutbu ki dillu mai aawaaz abi baqi hai......
Zikr toh bas kuch zulmu ka sunna aur tum dard se bilbila uthe..........
Shaamiyu aur kufiyu e sitam ka qissey hissas abi baqi hai.....
Intiqqm dushmane deen se lene ki jo pehal......
Abid ke imamat ka woh aagaaz abi baqi hai.........
Yazeed tu tou chal diya karke zulmo jafa.........
Kon tera baap tha yeh raz abi baqi hai.......
Ghabrao tum quyamat sey hum toh hai befikr........
Parwa kyn karien hamara rahsaaz toh abi baqi hai.......
Aab kounsar peene Ali se Adil tum hoo tayaar..........
Batool key shafat ka ik barkhaas abi baqi hai..........

© 2015 Adil Dar


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

139 Views
Added on September 6, 2015
Last Updated on September 6, 2015

Author

Adil Dar
Adil Dar

srinagar, jammu and kashmir, India



About
Born to write a simple guy widh straightforward attitude...... more..

Writing