MAA (MOTHER)A Poem by Adil DarSome special words about my mother
Chashm khulli meri toh nazru mai jis ko paaya......
Masoomiyat se labbu peh pehla naam jo aaya........ Dunya mai jeene ka pehla saleeqa jis ne sikhaya...... Woh rehmatu ka aasmaan hai meri maa ka..... Woh paq naam hai meri maa ka......... Khilqat se marqad tak jo sukoon ka rehguzar hai....... Kainaat ki rang raliyu ka qook jis ka darr hai..... Bad az khuda samney jiske jukta mera sar hai...... Woh aala muqaam hai maa ka...... Woh pak naam hai meri maa ka....... Aankhien jis ki nam ho hamari har khushi mai...... Dua jo deti rahe hamari har berukhi peh...... Pairu tale jis ke jannat ka jahan hai...... Maangne se jiske milta har bulandi ka maqaam hai...... Woh wasi nazar ka sama hai maa ka..... Woh pak naam hai meri maa ka....... Iltija karta hai adil dar peh tere khudaya....... Rakhna haesha sar peh mere meri maa ka saaya....... Ki har dooup mai chahu ka woh wahid aanchal hai...... Unki hi nashihatu se zindgi meri safal hai....... Woh azeem irfan ka jahan hai meri maa ka...... Woh paq naam hai meri maa ka...... © 2015 Adil Dar |
Stats
97 Views
Added on September 6, 2015 Last Updated on September 6, 2015 AuthorAdil Darsrinagar, jammu and kashmir, IndiaAboutBorn to write a simple guy widh straightforward attitude...... more..Writing
|