ZINDGI

ZINDGI

A Poem by Adil Dar

Zindgi bhi kya se kya rang dikhati hai.......
Kabi hasati hai toh kabi rulati hai........
Kabi khushyu ka sama rehta hai chaarsu........
Kabi ghamu ke saaye ka duua dhati hai........
Kar deti hai kabi hamara rutba aala.......
Kabi izzat hamari khaak mai milati hai........
Kabi mosam rehta iska hum peh khush numa......
Kabi kaali badal bhi hum peh barsaati hai........
Chood deti hai peeche kabi yaadu ke afsaane......
Kabi dard ke nishaan bhi gehre de jaati hai......
Reh jaate hai kabi kuch paane ke armaan...........
Kabi chahat se zyaada hi kuch de jaati hai........
Bana ley mann ko jee le bhar ke isko adil.......
Ki har mood peh mazza yeh alag de jaati hai.......

© 2015 Adil Dar


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

85 Views
Added on September 6, 2015
Last Updated on September 6, 2015

Author

Adil Dar
Adil Dar

srinagar, jammu and kashmir, India



About
Born to write a simple guy widh straightforward attitude...... more..

Writing