ZAROORI HAI

ZAROORI HAI

A Poem by Adil Dar

Tum na ho paas mere bohat mushkil yeh doori hai.........
Numaya hai hall ajab sa ki zindgi ab adhoori hai..........
Gardishaien karru tere jism ki ki teri soorat ka tawaf karru.......
Tere aqeeda ka tawaif ho hasratien bhi zaroori hai.......
Yaad aate hai har woh pal jo guzare tere chahat mai........
Zalimana hai bohat firr bhi teri chahatie zarori hai......
Masjid ki rah chalu ya maiqadde ko jao mai...........
Gham ka haal hi aysa hai ki kuch karna bhi zaroori hai............
Teri yaadoon ka nazrana saath lu ya chood du......
Kya karru mai bata zara ki mashwara bhi zaroori hai.......
Nae koi tamana hai tujhe is qadar rulane ki.........
Kya hova tera waadu ka yeh batana bhi zaroori hai..........
Bhuja du mai hr chiraag ko ho agar tum sharmsaaz.......
Khwahish hai teri kasmmu ki kitaab ka khulana bhi zaroori hai.............
Roo paddu yaa hass lu ma is uljhan ma qaid hou..........
Laakh chahe bhula du bhar tera yaad aana bhi zaroori hai.........
Cheer ke dikha de dil,sada likhta rahe adil........
Tujh peh na hoo firr bhi asr tera musqurana bhi zaroori hai.........

© 2015 Adil Dar


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

88 Views
Added on September 6, 2015
Last Updated on September 6, 2015

Author

Adil Dar
Adil Dar

srinagar, jammu and kashmir, India



About
Born to write a simple guy widh straightforward attitude...... more..

Writing