MasumA Poem by Zinal
Kitna be-rehem hai insan.....
ki masum ki masumiyat bhi nahi pechan pa raha hai.... uski nanni si ruh ko bewajah khured raha hai.... Roya hoga khuda bhi sunkar chikh us masum ka...socha hoga ...."kya inko meine hi banaya"hai.... Lekar jaan us masum ka tumlogo ne kuch nahi paya hai.... dimagi mazur ho bus yehi logo ko bataya hai..... Mardangi dikhane shok hai toh pehle mard bano... Masum ki ruh se khelkar tumne kuch nahi paya hai... Aurat mard aur bache mein fark samjo...kya tumhare ghar mein bhi yehi chalta aaya hai.... dushmani nibhani hai toh apne barabari walo se lo....masum ki jism ko khat kar tumme apne aapko kayar bataya hai... Sarkar ab toh jag jao yehi hum janta ki awaz hai... ab na ho kisi masum ka katal yehi humari pukar hai... Ab na roye koi maa iska dyan rakhna... tumhare ghar mein bhi hoga koi masum ye yaad rakhna... © 2016 Zinal |
Stats
112 Views
Added on March 17, 2016 Last Updated on March 17, 2016 |