Maazi, Haal or Mustaqbil

Maazi, Haal or Mustaqbil

A Chapter by
"

An article in Roman Urdu about three relations of time...

"
Zindagi mein teen zamanay gardish kartay hein; maazi, haal aur mustaqbil. 
Aur hamesha se yehi hota aa raha hai keh, mustaqbil haal mein tabdeel hota raha hai aur haal maazi mein. Iss tarha zindagi mein yeh tabdeelian inhi zamanon ke gird ghoomati nazar aati hain. 
Mustaqbil ke liye jo bhi seekha jaye, woh haal mein ki gaiyn ghalation pe inhisaar karta hai; aur yeh bhi keh hum ne un ghalation ka kesay madawa karna hai. 
Yeh bhi such hai keh maazi mein ki gaiyn ghalatian insan ko pechtanay par mujboor bhi kar deti hein. Agar un ghalation se kuch seekha na jaye to phir wo naqabeel-e- talafi nuqsan bhi pohanchane mein dair nahi lagateen. Baar baar ki gaiyn ghalatian  aadaton ka roop dhaar laiti hein. Yehi aadatein laakh  churwani bhi chaho to koshishon k bawjood nahi chura patay. 
Mustaqbil ke liye, haal mein guzray lamhay, maazi k jharokon mein mehfuz hotay hein. Kuch lamhay to iss qadar zahen mein seeraiyat kartay hein keh woh maazi ki yaadein ban kar reh jatay hen. Un lamhon ko bhoolana chaho to bhi nahi bhoola pate. Yaadein talakh hon to haal begaar k rakh laiti hen aur mustaqbil ki parwa bhi nai karti. 
Sunne mein aya hai keh gaya waqat wapis nahi aata lekin yeh bhi such hai keh waqat khud ko dohrane ka hosla bhi rakhti hai. Issi simat mein maazi ke lamhay, mustaqbil ban kar kabhi na kabhi samnay aa he jatay hein. Iska inhisaar bande par hota hai keh woh dohraye lamhon ko tabdeel krne mein kitni silahyat rakhta hai. Uski koshishon se woh talakh yaadein, achi sochon aur umeedon men badalne men kaamyab ho bhi jaati hein. 
Insan ka hamesha se yehi haal raha he keh khushian chahay kitni bari kiun na hon chund dinon tak bhool to jata hai; magar ghum chahay kitna he chota kiun na ho, ussay bhoolne mein aik arsa yah shaid umer darkaar hoti hai. 
Maazi, haal or mustaqbil k chakar aise he dairay k gird ghumatay hein. Waqat ke yeh teen pahiye, mukhtaleef aashkaal ke mukhtaleef zamanon mein mukhtaleef logon ke saath jurre hotay hain jeen ka aaghaaz aur anjaam aik he hota hai. Unhi mein kuch itne ehem jeen ko baar baar dohraya jaye to taarikh ka na bhoolne wala baab bhi ban jatay hain. 
Maazi, haal or mustaqbil aik dusare se iss qadar milay hotay hain keh keh maazi mein seekh kar haal mein amal karke mustaqbil ko sinwara ja sakta hai or yehi har guzare or anay walay kaal ki aik khuli hui haqiqat hai..


© 2013


Author's Note

First time publishing in Roman Urdu, so ignore any spelling or grammer mistakes. Any comments and reviews welcome..

My Review

Would you like to review this Chapter?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

89 Views
Added on January 28, 2013
Last Updated on January 28, 2013
Tags: Past, Present and Future


Author


Writing
Selfishness Selfishness

A Chapter by


Sadness Sadness

A Chapter by


We want peace We want peace

A Poem by