Haa unn sabse jalti hu mainA Poem by Mashroof BandiExpressing your insecurities in a relationship is also necessary!Mere namaujudgi mein jo bhi tumhare kareeb hota hai Unn sabse, haa jalti hu main Haa inhi galat aadaton ke wajah se Tumhe bhi abb khalti hu main Chahti hu koi naazo se rakhe mujhe Chahti hu koi palko par rakhe mujhe Inn galat chahate naa puri hone par Pal pal marti hu main Tum todd do iss paagal ko chahe lakh baar Par bereham naam nahi de sakte tum ko Ye tumse naarazgi ke silsilo mein Har baar khud se ladti hu main Pakdo na haath mera Halke se haath pher lo na sir pe kabhi Arre itna bhi paagal nahi hai ye mera paagalpan Tum suljhane toh baitho kabhi Waqt ka bahana chhod kabhi samjho na mujhe Yahi toh khawihishein rakhti hu main Meri namaujudgi mein jo bhi tumhare kareeb hota hai Haa unn sabse jalti hu main Haa unn sabse jalti hu main
© 2022 Mashroof BandiAuthor's Note
|
StatsAuthorMashroof BandiMumbai, IndiaAboutDil se toh bacche khelte hai Hume shabdo se khelne ka shauk hai!! more.. |