Hindi-Urdu Ghazal

Hindi-Urdu Ghazal

A Poem by Vatsal Rohilla (account shifted)
"

Wrote it a few days back. For Hindi-Urdu readers.

"
Dikhte ho app hum ko har khwaab mein,
dikhti tehreer aapki har kitaab mein.

Aapke labon ki surkhi o gamak-e-gesu,
wo surkhi o gamak nahi kisi gulaab mein.

Hamari justjuu jaari rahegi daayam,
kab dil ko chhupaoge naqaab mein.

Jaag uThta hai haseenaon ka rashq,
wo naadir ijaaz hai aapke shabaab mein.

Kitne saalon se aapse mohabbat hai
nahi pata kamzor hain hum hisaab mein.

Ek dafa to aap humse kehke dekho,
iqraar hoga Vatsal ke jawaab mein.

© 2016 Vatsal Rohilla (account shifted)


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

176 Views
Added on May 13, 2016
Last Updated on May 18, 2016
Tags: Hindi-Urdu, Ghazal

Author

Vatsal Rohilla (account shifted)
Vatsal Rohilla (account shifted)

Dehradun, Uttrakhand, India



About
I am Vatsal Rohilla and my place of residence is Dehradun, India. I adore flipping through the pages of books and incommoding the nib of my pen. more..

Writing