उस रात

उस रात

A Poem by Vartika

Sun us rat bhi jgte rahe
Kuch parindey, mai or dil-sheher

Bina chand k rat guzarte rahe
Kr be-naam yadon ko mayassar
Apni neendon ko girwi rkhte rahe
Dhundhle khwabon me jaag ker

Ek arsa hua ankho k darya ko
Chah ker bhi beh na saka
Per Pta h un shohraton ko
Mai haar ker bhi jeet na saka

Agar guzarte un honthon se
To shayad ther jate
Baat ker un sookhe phoolon se
Un panno per fr yun bikhar jate

Subah tak bhi ponch na sake
Us rat bikhre hue kajal ko
Ese haal mai fr rok na sake
Un baraste hue badal ko

Sun us rat bhi jgte rahe
Kuch parindey, mai or dil-sheher

© 2019 Vartika


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

156 Views
Added on June 7, 2019
Last Updated on June 7, 2019