Purane zakhm aksar rula dete hain

Purane zakhm aksar rula dete hain

A Poem by Geetanjali

Puri zindagi hum daulat ke peeche bhagte hain
Dekhte hi dekhte maut ke darwaze tak pahunch jate hain

Kitni bhi koshish kar lein kuch jazbaat hum chhupa nhi pate hain
Jis mod par manzil na mile hum wahin chale jate hain

Dil rota hai par hum jhuthi muskurahat hothon par le aate hain
Jo hum zuban se keh na sakein wo baat humare aansu batate hain

Gham hain hazaro hum kuch hi bhula pate hain
Kai baar purane zakhm humein rula dete hain

Kehna hota hai bahut kuch par hum keh nahin pate hain
Dil ko kitna bhi sambhalein hum sukoon se reh nhi pate hain

© 2023 Geetanjali


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

44 Views
Added on April 7, 2023
Last Updated on April 7, 2023

Author

Geetanjali
Geetanjali

Hyderabad , South, India



About
A grown up woman but a child by heart more..

Writing
MY POEM MY POEM

A Poem by Geetanjali