Dil rota zaar zaarA Poem by Geetanjali
Log badal jate hain
Kabhi hum bikharte to kabhi sambhal jate hain Matlab ki hai ye duniya Gham to milte muft mein par daulat luta dene pr bhi nhi milti khushiyan Zindagi bhar log krte hain nazarandaaz Maut par karte hain aansuon ki barsaat Gareeb ka tiraskar ameer se irshya karte Dastaan e Zindagi kabhi satya kabhi mithya lagti Bure vyakti ko koste acche vyakti ka udate uphaas Bharosa todte wahi jinpr khud se zyada karte hum vishwas Zindagi se shikayat maut ki hai tamanna Kyun acche logo ka dil dukhata hai zamana Kis par karein aitbaar Na chahte hue bhi dil rota hai zaar zaar © 2023 Geetanjali |
Stats
33 Views
Added on April 7, 2023 Last Updated on April 7, 2023 Author
|