Kab lautegi meri hansi

Kab lautegi meri hansi

A Poem by Geetanjali

Aankhon se aansu beh gaye
Kehna tha bahut kuch par khamosh reh gaye

Hoth na keh sake jo wo aankhon ne kaha
Jag hai ujiyara kintu mann mein chhaya andhera

Waqt ne ese diye zakhm
Bhar na sake jisey koi bhi malham

Samay ka chakra ghumta rehta
Jane kyun mere jeevan ka savera nhi hota

Akhir kab tak rahegi ye udasi.
Kab lautegi meri hansi

Zindagi ke iss mod par nahin dikhti asha ki koi kiran
Uljhano mein fansa rehta mera mann

Dukhon ke ye badal kyun nhi chhatte
Badkismati ke ye panne kyun nhi palatte






© 2023 Geetanjali


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

41 Views
Added on April 6, 2023
Last Updated on April 7, 2023

Author

Geetanjali
Geetanjali

Hyderabad , South, India



About
A grown up woman but a child by heart more..

Writing
MY POEM MY POEM

A Poem by Geetanjali