Asifa ki cheekhA Poem by Swagatika BeheraInsaaniyat maano kahin kho gayi he... har jagah bas darinde hi bhare pade hin...
Cheekh rahi thi mein, andar se mein kaamp rahi thi..
Jameen pe giri hui mein saat saal ki bachi thi... Ruh meri kaamp rahi thi, wo hasne ki aawaz chubh rahi thi... Khuda ke waaste, rehem ki bheek mein maang rahi thi... Na jaane unme kaunsi aag lagi thi, Hawas ki bhukh itni jaag uthi thi... Ee khuda ye kesi insaaf mujhe di tune Iin darindo ko kese insaan banaya tune??? Koi to uss cheekh ki gehrayi ko samajhte, Thak gayi mein insaaf ki bheek maangte maangte... Bas yehi kehna he aaj khuda se, Bharosa uth gaya aaj insaaniyat se... -Swagatika Behera
© 2018 Swagatika Behera |
Stats
66 Views
Added on June 2, 2018 Last Updated on June 2, 2018 Author
|